Falsafa-e-muhabbat

 فلصفحہ محبت 

                              Jawani se mout tak.

INTRO:

             This is a fact, and based on a true story.

Friendship:

                     Sb se phele ek dusre se freindship hoti he ek dusre se bat hoti he pura pura din puri puri rat shyness hoti he fr aista aista khulke bat krne lgte he ek dusre ki pasand na pasand jan ne lgte kafi chezen same nikal ati he pasand na pasand mein koi frq nai prt lekin ke wo message kre ya ap kro ya na kro agr koi dono me se krde to bat hojati he wrna koi frq nai prta lekin fr bhi lagatar aista aista bat itni hone lg jati he to fr ajati he second stage ⬇️


ATTRACTION:

                           Fr bat hote hote he ek dusre attraction hone lgti he ek dusre ki ehmiat barne lgti he ek dusre ki nazro me ek dusre ke bare me sochne lgte he intizar rehta ke ab reply aega ya message ayega phela uska fr bat hogi bs fr bat krne ka moqa chaiye hota he agr message na aye to kisi kam se hi message krdeta he koi ek take bat hojaye fr ati third stage ⬇️


FEELINGS:

                     Ek dusre ke liye feelings peda hojati he bs fr intizar rehta ek dusre ke samne wala mujjse koi achi bat kre yani piyr ki bat kre bs dono yai sochte he ke me krti hu ya me krta hu pta nai ye krta he ya ye krti he dono chup rehte he fr kuch batein esi hojati he ke smjh nai ata kia karen kia bolen kuch smjh nai ati bs ek cheez chlti he dimag me ke me esa kuch na khedu ke ise bura lg jaye ga to kia hoga kai bat bhi na khatam hojaye ese chlte chlte fr dono ki feelings ek din bar ajati he ya kisi ek ki ajati he to dusra bhi bol prta he fr ati he fourth stage ⬇️


MUHABBAT:

                        Fr ek dusre se izhar hota he mohabbat ka ek dusre ke khane pene ka khayal rkhna woi kai chale jaye to uska intizar krna ke ab aega ya aegi to mujje message krega ya kregi ek dusre ka hr dhuk sukh me sath dena bs yai Koshish hoti he ke ek dusre ko bs khush rkha jaye koi larai nai hoti fr ye mohabbat badal jati he JUNOON me Yani fifth stage ⬇️


JUNOON:

                   Ek dusre ka junoon peda hota he dill krta milne ka lekin khete kuch nai he life me problems ajati he bhot sari bs ek umeed hoti he ke koi sath he ya nai ye zror he mere sath or hamesha rahega ek dusre ko dilasaa dete he smjhate hein piyr dete he fr bat niklti he shadi ki rishte ki ya nikah ki to third last stage start hojati he⬇️


ISHQ:

           Ab tk sb kuch si hota he lekin jab bat family pe ati he to fr nikalti he ek esi cheez jo ishq ke upr ek daag he use khete he zaat. Is zaat ko leke bhot trouble hota he bhot issues hote he or fr sath hi me bat nikalti hee larka kia krta he larki kitna pari he ghat gharasti ati he and all of that family formalities jab ke dono ishq krne walo ne kabhi in chezo pe koi issue nai uthaya hota lekin fr bhi dono milke deal krte he finally ja ke rishta hota he to lgta he ab sb si he kuch time reht bhi he sb si ishq hojata he ek dusre se fr bs apna nai samne wale ka hi khayal rehta he bhale khud ne kuch nai khaya piya lekin samne wale ki puri fikr hoti he fr ek dusre se milne ki tarap hoti he or mil bhi lete he jese tese esi chlta rehta he sb or fr issues niklte he kuch time bad or fr ishq junoon jab had se guzar jaye to ati he second last stage ⬇️


NASHA:

                Fr ek dusre ki lat lag jati he or iski misal ese he ke ek powder pene wale ko ek time agr powder na mile to wo ad mara hojata he tarapne lgta he khana pena chordeta he jena hi chor deta he fr uthate he khandan wale issues kisi bhi bat ko leke jab tk deal krte he dono krte he sath sath fr bat esi hojati he koi ke bat rishta khatam krne pe ajati he or sb kuch khatam hota wa tut ta wa nazar ata he halat kharab hoti he koi khana nai khata lekin fr bhi ek dusre se request ki jati he ke khalo khana or fr dono ki halat bs bigarna shuru hojati he dono ki life me already itne masle hote he lekin bs ek dusre ka nasha kr kr ke jee re hote he dono fr milna bnd hojata he bat kam hojati he talab ek dusre ki itni bar chuki hoti he ke he bs raha hi nai jata dhekne ki talab milna piyr krna ek dusre se jabke dono ek nek or hala rishte me bhi ana chate he or fr didar-e-yar hi na ho to kesi Zindagi fr ati he last stage ⬇️


DEATH:

               Fr is stage me ake dono puri is dunia se hi kinara kr lete he bs ek dusre ka hi khayal rehta uski nas nas me hr soch me sote we uthte we khuwabo bs woi rehta he or fr down hone lgte he dono na family se koi bat na khana pena ratein jagte we or rote we guzarti he 〰️〰️〰️〰️fr heart beat thamne shuru hoti he ek dusre ki yad me lekin in sab me kisi ka kuch na jati or in dono ka kuch bachta hi nai he or fr ek last hoti he bs ek dusre ki yad me heart beat esi hojati he or bs fr khatam 

〰️〰️〰️_-_-_-_-----__--__-_----------- death ☠️srf do khandano ki formalities ki waja se do Zindagiyan zaya hojati he

Comments